Friday 10 February 2012

Tasawur



   Hamaray notes me galtiyan hain to kya huva
           Galtiyon say bhi seekha ja sakta hai.
Hakemon ke sohbat mayasar na ho to un k kalam say istafada kiya ja sakta hai.Bhalu Baglol. 

                 
Ism Allah mein ghus ja
Rooh  Afza  yehi to hai. 
  






                Bhalu Shah vs Tongue
    Talwar ke dhar say taiz hai zaban ke dhaar
 Dhaikay nahin tun nay is k tamashay jahan me.
         Bhalu Baglol vs Eagle
  Dhukti rag say pakartay hain hum
       Yunhi to uqab nahi hain hum.
          

      











         

       
       
        A Abad vs A Amil
Khilono say kyun khailta hai?
     Ye bachon ka kam hai. 


            










              
                     

                     
                    Abad vs Truth 
         Sachai k liye her cheez chori
           Na chori to sachai na chori.
        Dr Allama Muhammad Iqbal Aur Me
     Phir je utha Iqbal tujhay uthanay k liye
Khavabe gaflat say phir tujhay jaganay k liye.
         Babai Qaum Aur Me vs Muslims
Ay musalmano unity faith discipline ko apnao
         Apnay apas k iktalafat ko bhol jao.                




  


          Khudi Bay Khudi
    Kyun hai khudi say pyar karay?
  Bay khud ho takay deedar karay.
     Mosquito vs People
Machar tujh ko tang kerta hai
Tun kitnon say jung kerta hai?
       Bidat ka pocha me nay mula say
Mula nay speaker ki taraf ishara ker diya.
Iqbal--->>
         

     Teri samajh na aie hum ko
Pehlay bheigta hai phir ponjta hai.







*Baz aukat mahol ya tawaras aik dosray par hawi hotay hain jaisay aik buri fitrat wala insan bohat achay mahol mein bhi apni fitrat ka izhar kar dayta hai aur baz aukat bura mahol achi wirasat ko bhi daba sakta hai kisi shareef khandan k bachay ko bura mahol faraham kiya jaAy to wo buri sohbat me reh kar apni chand khandani sifaat k ilawa mukamal toor par apnay mahol ka asar qabool kar layta hai ya kar sakta hai.


Hikmat or Zahanat....  mukhtalif azmaishon,nazriyat,tajurbat say zahir hota hai k zahanat ke takmeel taqreban 20 saal ke umar tak ho jati hai aur is k bad zahanat me nashonoman yani taraki nahi hoti balkay afrad apnay tajurbat aur    ta-alum k zariye ilm me izafa kartay hain.
Insan ke umar ka 20 saal say 40 saal tak ka hisa zehni phukhtagi ka zamana hota hai is doran hikmat ke nashonoman hoti hai,hikmat insan ke guftagu say zahir hoti hai.
Hikmat ka matlab aqal wa feham ke is kamil tareen pukhtagi aur haqeeqat k idraak ka nam hai jis say sahi or ghalat,khair wa shar k darmeyan danai k sath tameez wa faisla kiya jata hai aur danish mandi k sath mukhatab ke zehniyat,istadad aur halat ko puri tarhan samajh kar naiz moqah wa mehal ko daikh kar faisla kun bat ki jati hai.
Hikmat ke aik bari khubi ye hai k insan ta-asub say haq bat rad nahin kerta.
Hikmat insan me basirat,firasat aur wusate nazar paida kar dayti hai.
Jidhar daykta hun hairat hi hoti hai mujay
 Mein kya saray hi hairat  mein gum hain.
Na poch rungon k mutaliq
      Sab us k rung hain.
             









Ishq ke tareef alfaz say nahi hoti
   Ye wo marz hai jo la-ilaj hai.
Azab jo daykha hum nay bhag paray hum to
Bad mein pata chala bhagna bhi ik azab tha.
    Dr Allama Mohammad Iqbal Say Kalam
Ye maktab ke karamat nahi faizane nazar tha
Jis nay sikhaye Ismaeel ko adaabe-e-farzandi. 
 
                   Bhalu Shah vs People
Daykhi hogi tun nay be jahan me khubsurti bohat
         Ye to us husn ka adna sa karishma hai.
Log hum ko sunatay hain 
Hum suntay hi jatay hain.
Most people go to college to get a degree not an education.
You should give up the habit of smoking.


     
            
























BLACK IS NOT A COLOR ITS THE ABSENCE OF COLOUR.IN THE SPECTRUM OF COLORS,U GO FROM BLACK WHICH IS NO COLOR ALL THE WAY THROUGH TO WHITE WHICH IS ALL THE COLORS.
THE DARKEST SOULS R NOT THOSE WHICH CHOOSE TO EXIST WITH IN THE HELL OF THE ABYSS,BUT THOSE WHICH CHOOSE TO BREAK FREE FROM THE ABYSS AND MOVE SILENTLY AMONG US.
                DR SAMUEL LOOMIS
Nadan nay paisay ko maqsad hai banaya
   Paisay nay nadan  ka sath na nibhaya.
                    Air vs People
Hawa kay jhonkay to atay jatay rahain gay
      Tun sans layna chor day ga aik din.
Hum khayal hai kon mera?
Mera koi khayal hi nahin.
    Kya kaha sirf sayahi say likha jata hai
Hum to apnay khonay jigar say liktay hain.
         Abad vs Science
Inkar nahin kerta science say
 Bata mujhay moot ke waja.

                         


                      


                   

     Kun  na kaha tha Rub nay
Woh kehnay ka mohtaj nahi hai.                   
  Na inkar na iqrar
Kya hai jawabe yar?
Ashiqon ko to ishq likhwata hai
Tujay abhi tak likhna nahin aya.
Mardangi ke bat hoti to chalay atay hum
    Par bat to yahan par dewangi ki hai.   
Wo bhi ik bat karay me bhi ik bat karun
    Dono ko mila k ik bat bana laynna.  
Tun samajta hai asa tujay sahara dayta hai
Asa to khud tayray saharay say chalta hai.  
Muktasar bhi taveel bhi 
Guftagu hai kuch meri.
Logon k tanay sehtay hain hum
 Phir bhi such kehtay hain hum.     

Haji  sahab  ko  fursat  nahin  wazaif  say
Fursat milti to parhatay sabaq haqaiq say.
Enjoy na kiya to phir kya jiya
Jab bhi piya to bhar kay piya.















                      




                        
                       
                   Abad vs Pollution
 Pani ganda fiza aluda sakon mayasar nahi hai
           Ye dozak nahi to phir aur kya hai? 















Me wohi kuch tahreer me laya
Jo duniya mein hota nazar aya.

 











Awami khawahishat k aina dar nahin hum
     Ainay to aksar toot jaya kertay hain.  
    

  





  



TABSRAY OR TAJZIYE KERNAY WALO
          LISTEN TO ME CAREFULLY

         I don't care what you think.

Tabsaray bhi huway tajziye bhi huvay
     Ik tum kabhi hamaray na huway.
         Hamara andaze bayan dhaikh
     The art of writing without fighting
 OH WHAT A FANTASTIC STYLE  
                               






        


       
        Bhalu vs River                                
Darya ruk badal laitay hain
Hum ruk nahin badlain gay.







   Mula dushman ko rok na paAy

 Mujahid hi hai jo sena PhaylaAy.





 

      

       

  

  


Chashme

  Baddoor

good, better, best...never let it rest, until your good is better and your better is your best:

 

            

 

 

 

 

 

                   

                  Ishq vs me 

Kyun laAy nay saday ghar dayray

O ja kithay hoor tur ja

Tun akhay wi nahi saday lagda

O ja kithay hoor tur ja

Kyun ojarna chana Ay sada ghar

O ja kithay hoor tur ja

Zid kerna Ayn saday nal vay

O ja kithay hoor tur ja

Kisay pasay tay sano lagan day

O ja kithay hoor tur ja

Kyun tun rehna wain asay pasay

O ja kithay hoor tur ja

Sano chad kay kyun nahi janda

O ja kithay hoor tur ja

O magron tun leja hun saday

O ja kithay hoor tur ja

Teno rakhda nahi koi hor vay

O ja kithay hoor tur ja

Akhay vi lag jaya ker vay

O ja kithay hoor tur ja

Saday kol kuj vi nahi haiga

O ja kithay hoor tur ja

Saday kolon tun ki ay lena

O ja kithay hoor tur ja

Tun vi ziddi asan vi ziddi

O ja kithay hoor tur ja

Kyun kadni ay tun sadi piddi

O ja kithay hoor tur ja

Teray ton vada zalim koi na

O ja kithay hoor tur ja

Awain chaskay nay pai tenu puthay

O ja kithay hoor tur ja

Tun tay rab vi nahi chadya

O ja kithay hoor tur ja

Asan man liti har teray agay                  

O ja kithay hoor tur ja

Kyun ena pressure vay tun panda

O ja kithay hoor tur ja

Asan nahi banana chanday lal vay     

O ja kithay hoor tur ja

Kyun sotna wain saday otay phayray

O ja kithay hoor tur ja

Kyun vayra nahi tun chad-da sada

O ja kithay hoor tur ja

Ghusa haiga ay meray otay kayra

O ja kithay hoor tur ja

Asan sun liti  teri  kil kil

O ja kithay hoor tur ja.

                         People vs Crow

      Kavon jaisi halat ho chuki hai logon ki

Kaw kaw kiya kuch thungay maray or khatam.





 






  






  
Gala kyun pharta hai takreron mein apna
       Aik din waisay bhi phat jaAy ga.
Sapurde malaik kar diye saray kam
     Khud bhi kuch kar lay nalaik.
        Moseeki ka dildada hai tun
Mujhay Aurengzab banana paray ga. 
Ginti ke rasmon ka aur jhoti qasmon ka
   Mujhay na bata tun kahin aur ja tun.
etc Urs,Gyarvin.

  












 




Tumhari batain sun chukay
     Ab hamari bari hai.

                           





  
 
                      
        Dari rakh kar samjha sub kuch rakh liya
Islami nizame hakomat ke bunyad kon rakhay ga?


Kinaray kaisay lagti kashti hamari
    Hamari kashti mein sorak tha.
We have shared all you people need to know.
Mana k teray inamat qabil nahi hain hamaray
     Lay laitay hain tera dil raknay kay liye. 
                  KHUDI
Khud ko dhaikh khudi ko dhaikh
    Aj hum kahan ja rahay hain.
      You people are blood suckers nothing else

    

  






                                  
                          

                            

Borai na kerna hi achai hai.Bhalu Baglol.  
Shama ke tara jaltay hain
Tujay roshni danay k liye.
                              Nafi vs Asbaat
Mayray nazdeek nafi asbat ye hai k batil ki nafi karay haq bat ka asbat karay parchar karay itni si bat hai ye hai asal nafi asbat. 
Salamti me enter honay wala salamat rehna chahiye.
Imagination is more important than knowledge      Einstein

  






















Hamaray notes me galtiyan hain to kya huva
       Galtiyon say bhi sekha ja sakta hai.

Who is the creator of 

THE PRICE OF WISDOM IS ABOVE RUBIES
 
                                                                                                            

 DONT TRUST ANYONE EVEN THE DEVIL WAS ONCE AN ANGEL  
  
                                          



Jis din teri deed ho jaAy
Us din meri Eid ho jaAy.



             Meer Taqi Meer 
Bay khudi lay gai kahan hamain
Dair say intezar hai hamain apna.
   Bar Bar us kay dar pay jata hun
Halat ab meri kuch izterab ke se hai.                


 








Ankh k jhapaknay me manzar badal jata hai
    Neyat badal jati hai insan badal jata hai.













            Sain Baglol vs Sea vs Drop  

Qatray samundar me mil k samundar hotay hain
      Hum to Qatray me hi samundar ho chalay.
Katray me samundar ho gaya me
    Apnay ap me kho gaya me.
 

                      Hadith
Huzoor(s.a.w)nay farmaya k Mein 
ilm ka Sheher hoon aur Abu Bakar(r.a)
uski bunyad hai,Umar(r.a)uski dewar hai,
Usman(r.a)uski chat hai aur Ali(r.a)uska darvaza hai...
                   I
Mein ilm ka talib hun.




Q.Please select the correct answer;
Pakistan ka matlab kya;

1.
  














2.Pak Land.
3.Parhane likhne ke siwa Pakistan ka matlab kya? 
4.Qatalo garat,Loot mar etc.
 "I am eagerly waiting for your urgent response."


It takes years to build trust,and a few seconds to destroy it.

                                            




Ye valvala ye shoq ye fikare changayze
   Hararat paida na karay to kya karay.


  Ye karakna ye garajna ye chamakna

Ye unqareeb barasnay ke alamaat hain.




 Bijlion sa junon paida kar

     Hila day jo dharti ko.

Agar Magar chor day

 Kuch kar kay dhika.




Pe kay bhi hosh me rehtay hain hum

Ye wo sharab nahi jo bad mast karay.



                                             





 










Tum farishtay hotay to hum tumharay sardar hotay


        Kyun k log kehtay hain hum ko shatan.



 Wo aik sajda jo barwaqt na kiya adam ko

Usi ke talafi hai ye dar badar sajday kerna. 


  Hum jo hain zakham khanay ko


Tun tayar reh marham laganay ko.


     
Dil mangay more
For   more   visit  
www.Tafakarism.blogspot.com 
      
   

  
    
    
  
   
 
   







  



  




















                                
             



                      
                                                  

                                                                                 
                               
                                


















                                                    




                            





                    

No comments:

Post a Comment